Zarb-Ul-Masal Kise Kaha Jata Hai?
Zarb ke maani hote hain “Bayan Karna” aur Masal ke maani hote
hain “Misaal”. Is tarah se Zarb-ul-Masal (ضرب المثل) ke maani bante hain “Misaal de kar bayan karna”.
Zarb-ul-Masal Ki Tareef
Ek aisa jumla jo misaal ke tor par paish kiya jaye us ko
zarb-ul-masal kaha jata hai. Is ko Urdu mein “Maqola” ya “Kahawat” bhi kaha
jata hai.
Zarb-ul-masal mein jo baat kahi jaye us ko alamgir-sachai
(universal truth) ka darja diya jata hai.
Urdu Ki Chand Ahm Zarb-ul-Misaal
Yahan Urdu ki chand ahm zarb-ul-misaal faraham ki ja rahi
hain. Aap ki aasani ke liye har zarb-ul-masal ke sath us ke matlab ko bhi
bataya gaya hai.
1. Aap Kaaj Maha Kaaj (آپ کاج، مہاکاج)
Matlab:
- Wo kaam jo khud kiya jaye wo sab se behtar hota hai.
2. Aa Bail Mujhe Maar (آبیل مجھے مار)
Matlab:
- Is zarb-ul-masal ka matlab hai fazol ki larai mol lena.
0 Comments
Post a Comment