Rozmarra Aur Muhawra in Urdu

Rozmara (روزمرہ)

Urdu grammar mein Rozmarra ka matlab "Rozana Ki Bol-Chaal" ya "Aam Guftagu” liya jata hai. Yeh woh jumle hote hain jo log aapas mein aam tor par baat karne ke liye istemal karte hain. Rozmarra mein alfaz ko un ke asli matlab ke hisaab se istemal kiya jata hai.

Misaal:

Mujhe bhook lagi hai.

مجھے بھوک لگی ہے۔

Muhawra (محاورہ)

Do ya do se zyada alfaz ka aisa majmua jo lafzon ke asli matlab se hat kar ek alag, majazi (مجازی) matlab zahir karta ho us ko muhawra kaha jata hai.

Misaal:

"Aankhon Ka Tara Hona" ka matlab hai "Bohat Pyara Hona".

آنکھوں کا تارہ ہونا کا مطلب ہے بہت پیارہ ہونا ۔

Rozmarra Aur Muhawre Mein Bunyadi Farq

In dono mein bunyadi farq yeh hai keh Rozmarra mein alfaz ka asli matlab hota hai aur Muhavare mein alfaz ka majazi ya isharati matlab hota hai.

Aasan alfaz mein, rozmarra aam bol-chal hai aur muhavare zubaan ko khoobsurat aur asardaar banane ke liye istemal kiye jate hain.