Urdu Grammar Mein Tazkeer o Tanees

Urdu Grammar Mein Tazkeer o Tanees

Urdu grammar mein tazkeer o tanees ka matlab jins hota hai. Durust jumla banane ke liye tazkeer o tanees ke qawaid ko yaad rakhna aur un ki pabandi karna zaroori hota hai.

Jins Ke Lihaz Se Ism Ki Iqsam

Urdu grammar mein ism ki sirf do jinsein hoti hain.

  • Muzakar (مزکر)
  • Monas (مونث)

Muzakar nar (نر) ko kaha jata hai aur monas maada (مادہ) ko kaha jata hai. Har ism, wo jaan-daar ke liye ho ya be-jaan ke liye ho, ya to muzakar ho ga ya monas.

Ism e Muzakar (اسم مزکر)

Wo ism jo nar jins ko zahir karta ho chahe wo jaan-daar ho ya be-jaan us ko ism e muzakar kaha jata hai. Jesa keh:

  • Larka (لڑکا)
  • Mard (مرد)

Ism e Monas (اسم مونث)

Wo ism jo maada jins ko zahir karta ho chahe wo jaan-daar ho ya be-jaan us ko ism e monas kaha jata hai. Jesa keh:

  • Larki (لڑکی)
  • Aurat (عورت)

Haqeeqi Aur Ghair Haqeeqi Tazkeer o Tanees

Tazkeer o Tanees Haqeeqi (تزکیر و تانیث حقیقی)

Urdu grammar mein jaan-daar cheezon ki tazkeer o tanees ko tazkeer o tanees haqeeqi kaha jata hai.

Jaan-daar cheezon mein har ek ke jore qudrati tor par pehle se hi mojood hote hain. Jesa keh:

  • Larka-Larki (لڑکا-لڑکی)
  • Mard-Aurat (مرد-عورت)

Tazkeer o Tanees Ghair Haqeeqi (تزکیر و تانیث غیر حقیقی)

Urdu grammar mein, be-jaan cheezon ki tazkeer o tanees ko ghair haqeeqi kaha jata hai. In cheezon mein nar aur maada ka koi farq nahin hota.

Wo Muzakar Ism Jin Ki Monas Banti Hai

  • Baap (Maa) باپ (ماں)
  • Raja (Rani) راجا (رانی)
  • Mian (Biwi) میاں (بیوی)
  • Badshah (Malika) بادشاہ (ملکہ)
  • Bail (Gaaye) بیل (گائے)

Wo Muzakar Ism Jin Ki Monas Nahin Banti

  • Darwaish (درویش)
  • Baba (بابا)
  • Gaind (گیند)
  • Farsh (فرش)
  • Bichona (بچھونا)
  • Wo Ism Jo Sirf Monas Hain
  • Baji (باجی)
  • Suhagan (سُہاگن)

Muzakar Ism Jin Ka Monas Banaya Ja Sakta Hai

Yeh wo muzakar ism hain jin ka monas banane ke liye sirf lafaz maada ka istemal kiya jata hai.

  • Kawa (کوا)
  • Janwar (جانور)
  • Khargosh (خرگوش)
  • Cheeta (چیتا)
  • Newla (نیولا)
  • Baaz (باز)
  • Hudhud (ہدہد)

Wo Alfaz Jo Muzakar Bhi Hain Aur Monas Bhi Hain

  • Titli (تتلی)
  • Ghulehri (گلہری)
  • Chipkali (چھپکلی)
  • Fakhta (فاختہ)
  • Lomri (لومڑی)
  • Koyal (کوئل)
  • Cheel (چیل)
  • Chakor (چکور)
  • Deemak (دیمک)

Dinon Ke Naam Jo Muzakar Hain

  • Peer (پیر)
  • Mangal (منگل)
  • Budh (بدہ)
  • Juma (جمعہ)
  • Hafta (ہفتہ)
  • Itwaar (اتوار)

Dinon Ke Naam Jo Monas Hain

  • Jumerat (جمعرات)

Waqt Ko Zahir Karne Wale Alfaz

Waqt ko zahir karne wale yeh alfaz muzakar hain.

  • Saal (سال)
  • Mahina (مہینہ)
  • Ghanta (گھنٹہ)
  • Minute (منٹ)

Note: Lafaz “Raat” (رات) monas hai.

Shehron Ke Naam

Shehron ke naam muzakar ism hote hain.

  • Lahore (لاہور)
  • Peshawar (پشاور)
  • Karachi (کراچی)

Daryaon Ke Naam

Daryaon ke naam bhi muzakar hote hain.

  • Ravi (راوی)
  • Chenab (چناب)
  • Sindh (سندھ)

Note: Nadiyon (ندیوں) ke naam monas bole jate hain.

Sitaron Ke Naam

Sitaron ke naam bhi muzakar hote hain.

  • Chand (چاند)
  • Sooraj (سورج)
  • Mareekh (مریخ)

Namazon Ke Naam

Tamam namazon ke naam monas hain.

  • Fajar (فجر)
  • Zuhr (ظہر)
  • Asar (عصر)
  • Maghrib (مغرب)
  • Esha (عشاء)

Zubanon Ke Naam

Tamam zubanon ke naam bhi monas hote hain.

  • Urdu (اُردو)
  • Arabi (عربی)
  • Farsi (فارسی)

Be-Jaan Cheezon Ke Yeh Naam Muzakar Hain

  • Akhbaar (اخبار)
  • Lalach (لالچ)
  • Behosh (بے ہوش)
  • Dard (درد)
  • Perhaiz (پرہیز)
  • Photo (فوٹو)
  • Nuskha (نسخہ)
  • Khat (خط)
  • Lifafa (لفافہ)
  • Ticket (ٹکٹ)
  • Marz (مرض)
  • Intezar (انتظار)

Be-Jaan Cheezon Ke Yeh Naam Monas Hain

  • Awaz (آواز)
  • Dawa (دوا)
  • Bhook (بھوک)
  • Payas (پیاس)
  • Chhat (چھت)
  • Ghaas (گھاس)
  • Traazo (ترازو)
  • Patang (پتنگ)

Muzakar Banane Ke Qaiday

1. Jin isma (اسما) ke aakhir mein “Zar” (زار) aur “Stan” (ستان) ke lahqay lage hon, woh mazakar hote hain.

Misaal:

  • Pakistan (پاکستان)
  • Afghanistan (افغانستان)
  • Gulzar (گلزار)

2. Wo hasil masdar jin ke aakhir mein “آؤ” ka lahiqa laga ho, wo mazakar hote hain.

Misaal:

  • Jhukao (جھکاؤ)
  • Bahao (بہاؤ)
  • Lagao (لگاؤ)

3. Wo isma jin ke aakhir mein “پن” aur “پنا” ke lahqay lage hon, wo mazakar hote hain.

Misaal:

  • Bachpan (بچپن)
  • Bachpana (بچپنا)

4. Wo isma jin ke aakhir mein “آپ” aur “آپا” ke lahqay lage hon, wo mazakar hote hain.

Misaal:

  • Milaap (مِلاپ)
  • Siyapa (سیاپا)

5. Kuch alfaz ke aakhir mein “وئی” laga kar mazakar banaya jata hai.

Misaal:

  • Behan se Behnoi (بہن سے بہنوئی)
  • Nanad se Nandoi (نند سے نندوئی)

6. Kuch alfaz ke aakhir mein “الف” ka izafa kar ke mazakar bana liya jata hai.

Misaal:

  • Bhains se Bhainsa (بھینس سے بھینسا)
  • Batakh se Batakha (بطخ سے بطخا)

7. Kuch alfaz ke aakhir mein “ی” laga kar bhi mazakar bana liya jata hai.

Misaal:

  • Tail se Taili (تیل سے تیلی)
  • Bhang se Bhangi (بھنگ سے بھنگی )

Monas Banane Ke Qaiday

1. Wo isma jin ke lahqay “ی” hote hain un ko aam tor par monas ke tor par bola jata hai.

Misaal:

  • Shehzadi (شہزادی)
  • Aari (آری)

2. Baaz-auqaat mazakar ism ke aakhir mein “ن” ka lahiqa laga kar monas bana liya jata hai.

Misaal:

  • Sunaar se Sunaaran (سُنار سے سُنارن)

3. Baaz-auqaat mazakar ism ke aakhir mein “نی” ka lahiqa laga kar bhi monas bana liya jata hai.

Misaal:

  • Oont se Oontni (اونٹ سے اونٹنی)
  • Sher se Sherni (شیر سے شیرنی)

4. Kuch alfaz ke aakhir mein “انی” ka izafa kar ke monas banaya jata hai.

Misaal:

  • Jeth se Jethaani (جیٹھ سے جیٹھانی)
  • Dever se Devrani (دیور سے دیورانی)

5. Wo hasil masdar jin ke aakhir mein “وٹ” laga ho monas hote hain.

Misaal:

  • Banawat (بناوٹ)
  • Khichawat (کھچاوٹ)

6. Wo isma jin ke aakhir mein “گاہ” aata ho wo monas hote hain.

Misaal:

  • Sajda-Gaah (سجدہ گاہ)
  • Bandar-Gaah (بندر گاہ)

7. Agar “ش” ka lahiqa laga ho yeh bhi monas banata hai.

Misaal:

  • Koshish (کوشش)

8. Wo isma jin ke aakhir mein “ہ” ho wo bhi monas bole jate hain.

Misaal:

  • Walida (والدہ)
  • Khadima (خادمہ)

9. Wo arbi masaadir (مصادر) jin ke aakhir mein “ا” ho wo bhi monas bole jate hain.

Misaal:

  • Hawa (ہوا)
  • Wafa (وفا)