Welcome to UrduKitaab.com

Urdu grammar seekhne ke liye UrduKitaab.com aap ka behtareen sathi aur ek behtareen platform hai!

Chahe aap Urdu zuban seekhna chahte hon ya school/college ke talib-e-ilm (classes 3th, 4th, 5th, 6th, 7th, 8th, 9th, 10th, 11th aur 12th) hon, yahan aap Urdu grammar ko Roman Urdu mein aasani se samajh aur seekh sakte hain.

UrduKitaab Kya Hai?

UrduKitaab.com ek maloomati aur taleemi website hai. Hamara maqsad un sab logon ki madad karna hai jo mukammal Urdu grammar ko Roman Urdu mein parhna aur seekhna chahte hain.

Is website par aap Urdu grammar ke har topic ko tafseel ke sath parh sakte hain. Yahan sab kuch Roman Urdu mein bataya aur samjhaya gaya hai.

Hamara Maqsad Kya Hai?

Duniya bhar mein bohot se log Urdu zuban parhna, likhna aur bolna chahte hain. Magar un logon ko Urdu grammar ki kitaabein zyada tar Urdu script mein hi milti hain. Is se un logo ko Urdu seekhne mein mushkil hoti hai. Isi mushkil ko door karne ke liye hum ne UrduKitaab.com website banayi hai.

Roman Urdu ek aisi zuban hai jise taqreeban har koi aasani ke sath parh aur samajh sakta hai. Hamara maqsad hai keh Urdu grammar ki taleem har kisi tak aasani se pahonch sake.

UrduKitaab Se Rabta (Contact)

Aap ki raye hamaray liye bohat ahmiyat (importance) rakhti hai. Agar aap ham se rabta karna chahtay hain to UrduKitaab.com ke “Contact Us” page ke zariye aap ham se rabta kar sakte hain.