Wahid Jama Banane Ke Qaiday

Urdu Mein Wahid Jama Kise Kehte Hain?

Wahid Ki Tareef

Urdu grammar mein us ism ko wahid kaha jata hai jo ek shakhs, ek cheez ya ek jagah ko zahir karta ho.

Wahid ka matlab hota hai ek, akela ya tanha. Yeh tadad ke lihaz se ek hone ki nishan-dehi karta hai.

Misaal:

  • Larka (لڑکا)
  • Parda (پردہ)

Jama Ki Tareef

Jama ka maani hota hai jama karna, akatha karna ya jama hona. Urdu grammar mein us ism ko jama kaha jata hai jo ek se zyada ashkhas, cheezon ya jaghon ko zahir karta ho.

Misaal:

  • Larke (لڑکے)
  • Parde (پردے)

Wahid Se Jama Banane Ke Qaiday

1. Wo muzakar ism jis ke aakhir mein “الف” ho us ki jama banane ke liye “الف” ki jagah “ے” laga diya jata hai.

Misaal:

  • Larka se Larke (لڑکا سے لڑکے)
  • Beta se Bete (بیٹا سے بیٹے)