Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah
قائد اعظم محمد علی جناح
Quaid-e-Azam ka asal naam Muhammad Ali Jinnahbhai tha. Aap
bar-e-sagheer ki tareekh ki ek azeem tareen shakhsiyat hain. Quaid-e-Azam
Pakistan ke baani aur pehle Governor-General thay.
Muhammad Ali Jinnah ki qayadat, azm aur door-andeshi ne bar-e-sagheer
ke musalmanon ko ek alag watan dilane mein bunyadi kirdar ada kiya. Qaum ne Muhammad
Ali Jinnah ko "Quaid-e-Azam" yaani "Great Leader" ka khitaab
diya. Yeh khitaab aap ki azeem khidmaat aur qurbaniyon ka aitraf hai.
Muhammad Ali Jinnah 25 December 1876 ko Karachi mein paida
hue thay. Aap ne apni ibtedai taleem Karachi se hi hasil ki aur phir qanoon ki
taleem hasil karne ke liye aap England chale gaye.
London mein aap ne “Lincoln's Inn” se Barrister ki degree
hasil ki. Taleem mukammal karne ke baad aap Hindustan wapas aaye aur ek kamyab
wakeel ke tor par apni pehchan banai. Muhammad Ali Jinnah ki shakhsiyat mein
usool-parasti, imandari aur mehnat jesi khobiyan shuru se hi numayan (نمایاں) thein.
Siyasat mein aap ka dakhla 1906 mein hua. Shuru mein, Quaid-e-Azam Hindu-Muslim ittehad ke bohat bare alambar-dar thay aur aap ko "Ambassador of Hindu-Muslim Unity" ke laqab se pukara jata tha.
Lekin waqt ke sath sath, aap ne yeh mehsoos kiya ke Congress
musalmanon ke huqooq ka tahafuz nahin kar sakti. Aap ko is baat ka ehsaas ho
gaya keh Hindu musalmanon ko un ka jaiz muqam nahin den gay.
Is ke baad aap ne All-India Muslim League mein shamil ho kar
musalmanon ke liye alag watan ki tehreek ki qayadat sambhal li.
Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ne do-qaumi nazariye ko
farogh dene ke liye bohat mehnat ki. Aap ka yeh azm tha keh musalmanon ko apni
pehchan aur huqooq ke tahafuz ke liye ek alag riyasat ki zaroorat hai.
Muhammad Ali Jinnah ne apni sehat ki parwah kiye baghair
musalmanon ko muttahid (متحد) kiya aur
un mein azadi ka jazba paida kiya. Yeh Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ki
be-misaal qayadat aur musalsal koshishon ka nateeja tha keh 14 August 1947 ko
Pakistan wajood mein aaya.
Quaid-e-Azam ek usool-parast, ba-himmat aur door-andesh
rehnuma thay. Aap kabhi bhi mushkilaat se ghabraye nahin aur hamesha apne
maqsad par qaim rahe. Aap ki taqreerain aur irshadaat aaj bhi hamare liye
mashal-e-raah hain.
Muhammad Ali Jinnah ne Pakistan ko ek islami, jamhoori aur
falahi riyasat banane ka khawab dekha tha. Aap ka paigham tha "Kaam, Kaam
aur Sirf Kaam".
Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ne Pakistan ko wajood bakhsha aur apni zindagi ka har lamha is ki khidmat ke liye waqf kar diya. Aap ki qurbaniyan aur koshishen Pakistani qaum kabhi faramosh nahin kar sakti. Aap hamesha hamare dilon mein zinda rahen gay.
0 Comments