Ism e Faael Ki Iqsam

Urdu Grammar Mein Ism e Faael Ki Iqsam

Ab tak aap parh chukke hain aur jaan chukke hain keh Ism eFaael (اسم فاعل), Ism e mushtaq ki ek qism hai. Lekin ism e faael ki apni bhi do iqsam hain. Aaj aap ism e faael ki iqsam ke mutaliq tafseel ke sath parhen gay. In iqsam ko parhne ke sath sath aap in ko banane ke tareeqe bhi seekhen gay.

Ism e Faael Ki Iqsam

Ism e faael ki do iqsam hain.

  • 1. Ism e Faael Qiyasi (اسم فاعل قیاسی)
  • 2. Ism e Faael Samai (اسم فاعل سماعی)

Ism e Faael Qiyasi (اسم فاعل قیاسی)

Ek aisa ism jis ko qaiday ke mutabiq masdar se banaya jata hai us ko ism e faael qiyasi kaha jata hai. Jesa keh:

  • Likhne wala (لکھنے والا)
  • Parhne wala (پڑھنے والا)

Ism e Faael Qiyasi Banane Ka Tareeqa

Agar aap masdar ke aakhir se “Alif” (الف) ko hata kar muzakar ke liye “ے والا” aur monas ke liye “ے والی” lagate hain to ism e faael qiyasi ban jata hai.

Misaal:

  • Parhna se parhne wala (پڑھنا سے پڑھنے والا)
  • Parhna se parhne wali (پڑھنا سے پڑھنے والی)

Ism e Faael Samai (اسم فاعل سماعی)

Wo ism e faael jo kisi khaas qaiday se na banaya gaya ho balke sirf ahl-e-zuban se sunane (سننے) mein aaya ho us ko ism e faael samai kaha jata hai. Jesa keh:

  • Lohar (لوہار)
  • Khilari (کھلاڑی)
  • Mochi (موچی)

Ism e Faael Samai Banane Ka Tareeqa

Is ism e faael ko banane ka koi bhi khaas tareeqa ya qaida nahin hota.

Ism e faael samai un alfaz ko kehte hain jo Urdu zuban mein kai sadiyon se isi shakal mein istemal hote aa rahe hain. In alfaz ko banane ke liye koi khaas grammatical rule nahin hai.

Ism e Mushtaq Ki Qismein | اسم مشتق کی قسمیں