Urdu Grammar Mein Ism e Masdar Ki Iqsam
Aap ism e masdar ki tareef, misaal ke sath, is se pehle parh
chukke hain. Is safhay par aap ism e masdar ki tamam iqsam ke mutaliq tafseel
ke sath parhein gay.
Ism e Masdar Ki Tamam Iqsam
Ism e masdar ki yeh iqsam hain.
- 1. Masdar Mufrad (مصدر مفرد)
- 2. Masdar Murakkab (مصدر مرکب)
- 3. Masdar Lazim (مصدر لازم)
- 4. Masdar Mutaaddi (مصدر متعدی)
Masdar Mufrad (مصدر مفرد)
Masdar mufrad wo ism hota hai jo shuru se hi masdar ke maani
mein istemal kiya jata hai. Jesa keh:
- Aana (آنا)
- Jana (جانا)
- Likhna (لکھنا)
- Kehna (کہنا)
Masdar Murakkab (مصدر مرکب)
Jab kisi masdar ke shuru mein koi lafaz laga kar ek doosra
masdar bana liya jata hai to us ko masdar murakkab kaha jata hai. Jesa keh:
- Jhoot bolna (جھوٹ بولنا)
- Sach kehna (سچ کہنا)
- Kalma parhna (کلمہ پڑھنا)
- Behak jana (بہک جانا)
Masdar Lazim (مصدر لازم)
Ek aisa fail (فعل) jo sirf
faael (فاعل) ko chahe
us ko fail lazim kaha jata hai. Bilkul isi tarah jis masdar se fail lazim bane
ga wo masdar bhi lazim ho ga. Jesa keh:
- Aana (آنا)
- Jana (جانا)
- Chalna (چلنا)
- Sona (سونا)
Masdar Mutaaddi (مصدر متعدی)
Ek aisa masdar hai jis se mutaaddi afaal (افعال) bante hain. Wo fail (فعل) jo faael
ke ilawa mafool ko bhi chahe us ko mutaaddi fail kaha jata hai. Jin masaadar (مصادر) se yeh mutaaddi afaal bante hain un ko masdar
muttaddi kaha jata hai. Jesa keh:
- Khana (کھانا)
- Peena (پینا)
- Lana (لانا)
- Bhagana (بھگانا)
Note: Masdar lazim ko masdar mutaaddi banaya ja sakta hai.
Masdar Lazim Ko Masdar Mutaaddi Banane Ke Tareeqe
Agar aap masdar lazim ki “Na” (نا)
se pehle “Alif” (الف) laga dete hain to masdar mutaaddi ban jaye ga. Jesa keh:
- Chalna se Chalana (چلنا سے چلانا)
Is misaal mein “Na” se pehle
“Alif” lagaya gaya hai.
Agar aap masdar lazim ke
doosre harf ke baad “Alif” laga dete hain to bhi masdar mutaaddi ban jata hai. Jesa
keh:
- Uchhalna se Uchhaalna (اُچھلنا سے اُچھالنا)
Agar aap masdar lazim ke
doosre harf ke baad “ی” laga dete hain to bhi masdar mutaaddi ban jata hai.
Jesa keh:
- Sukarna se Sukairna (سُکڑنا سے سُکیڑنا)
Ism Ki Saakht Ke Aitbaar Se Tamam Qismein | اسم کی ساخت کے اعتبار سے قسمیں
0 Comments
Post a Comment