Fail Maazi Ki Tamam Iqsam

Fail Maazi Ki Tamam Iqsam

Fail maazi ki tareef aur fail maazi ke mutaliq aap is se pehle page par parh chuke hain. Is page par aap fail maazi ki tamam iqsam ke mutaliq tafseel ke sath parhne ja rahe hain. Fail maazi (past) ki chh iqsam  hain.

Fail Maazi Ki Qismein

  • 1. Maazi Mutlaq (ماضی مطلق)
  • 2. Maazi Qareeb (ماضی قریب)
  • 3. Maazi Baeed (ماضی بعید)
  • 4. Maazi Shakiya (ماضی شکیہ)
  • 5. Maazi Tamannai (ماضی تمنائی)
  • 6. Maazi Istamrari (ماضی استمراری)

Maazi Mutlaq (ماضی مطلق)

Yeh wo fail hota hai jo kisi kaam ka karna ya hona guzray hue zamane mein zahir karta hai. Lekin yeh zahir nahin karta keh guzra hua zamana nazdeek ka hai ya door ka hai.

Misaal:

  • Wo aaya. (وہ آیا۔)
  • Sab gaye. (سب گئے۔)

Maazi Mutlaq Banane Ke Tareeqe

1. Kuch masdaron (مصدروں) ke aakhir se agar “نا” ko hata kar “الف” ko laga diya jaye to maazi mutlaq mein tabdeel ho jate hain.

Misaal:

  • Parhna se Parha (پڑھنا سے پڑھا)
  • Likhna se Likha (لکھنا سے لکھا)

2. Kuch masdaron ke aakhir se “نا” ko hata kar “یا” laga diya jaye to maazi mutlaq ban jati hai.

Misaal:

  • Khana se Khaya (کھانا سے کھایا)
  • Aana se Aaya (آنا سے آیا)

3. Masdar “جانا” aur “کرنا” ki maazi mutlaq in ke khilaaf banti hai. Jesa keh:

  • Jana se Gaya (جانا سے گیا)
  • Karna se Kiya (کرنا سے کیا)

Maazi Qareeb (ماضی قریب)

Yeh wo fail hota hai jo kisi kaam ka karna ya hona nazdeek ke guzray hue zamane mein zahir karta hai.

Misaal:

  • Akram aaya hai. (اکرم آیا ہے۔)
  • Sara gai hai. (سارہ گئی ہے۔)

Maazi Qareeb Banane Ka Tareeqa

Maazi mutlaq ke aakhir mein sirf “Hai” (ہے) laga dene se maazi qareeb ban jati hai.

Maazi Baeed (ماضی بعید)

Yeh wo fail hai jo kisi kaam ka karna ya hona dair ke guzray hue zamane mein zahir karta hai.

Misaal:

  • Akram ne likha tha. (اکرم نے لکھا تھا۔)
  • Imran ne kaha tha. (عمران نے کہا تھا۔)

Maazi Baeed Banane Ka Tareeqa

Agar aap maazi mutlaq ke aakhir mein “Tha” (تھا) laga dete hain to maazi baeed ban jati hai.

Maazi Shakiya (ماضی شکیہ)

Yeh wo fail hai jo guzray hue zamane mein kisi kaam ke karne ya hone ka shak zahir karta hai.

Misaal:

  • Ali ne khat likha ho ga. (علی نے خط لکھا ہو گا۔)
  • Kamran ne khaya ho ga. (کامران نے کھایا ہو گا۔)

Maazi Shakiya Banane Ka Tareeqa

Agar aap maazi mutlaq ke aakhir mein “Ho Ga” (ہوگا) laga dete hain to maazi shakiya ban jati hai.

Maazi Tamannai (ماضی تمنائی)

Maazi tamannai wo fail hai jo guzray hue zamane mein kisi kaam ki arzoo, tamanna ya shart ko zahir karta hai.

Misaal:

  • Kaash! Wo mehnat karta. (کاش! وہ محنت کرتا۔)
  • Agar wo aata. (اگر وہ آتا۔)

Maazi Tamannai Banane Ka Tareeqa

Maazi tamannai banane ke liye masdar ke aakhir mein “Na” (نا) ko hata kar “Ta” (تا) ko laga diya jata hai aur shuru mein “Kaash” (کاش) ya “Agar” (اگر) ko laga diya jata hai.

Maazi Istamrari (ماضی استمراری)

Yeh wo fail hai jo guzray hue zamane mein kisi kaam ke lagatar aur musalsal karne ya hone ko zahir karta hai.

Misaal:

  • Wo khailta tha. (وہ کھیلتا تھا۔)
  • Ali likhta tha. (علی لکھتا تھا۔)

Maazi Istamrari Banane Ka Tareeqa

Agar aap masdar ke aakhir se “نا” ko hata kar “تاتھا” ya “رہا تھا” ko laga dete hain to maazi istamrari ban jati hai.

Fail Ki Tareef | Fail Ki Iqsam | فعل کی اقسام