Grammar Ya Qawaid Kise Kehte Hain?
Har zuban ke kuch asool aur kuch zabtay hote hain. In asoolon
aur zabton ki wajah se hi us zuban ko sehi tareeqe se seekha, samjha aur bola
jata hai. Urdu zuban ke bhi kuch makhsoos asool aur zabtay hain in ko qawaid ya
grammar kaha jata hai.
Agar hum Urdu zuban ko mukammal tor par seekhna aur samajhna
chahte hain to humein in qawaid par aboor haasil karna ho ga.
Qawaid Ke Hisse
Qawaid ke do hisse hote hain.
- 1. Sarf
- 2. Nahv
Sarf (صرف)
Sarf Urdu qawaid ki wo shakh hai jis mein lafazon ki bunyaadi
saakht, un mein aane wali tabdeeliyon aur ek asl lafaz se naye alfaz banane ke
tareeqon par behas ki jati hai.
Qawaid ke is hisse mein huroof, alfaz aur kalmaat par hi behas
ki jati hai. Misaal ke tor par yeh lafaz wahid hai ya jama, muzakkir hai ya
monas waghera waghera.
Is ilm ko janane ka faida yeh hai keh insan alfaz ko sehi
tarah se bol sakta hai.
Nahv (نحو)
Nahv Urdu qawaid ki wo shakh hai jis mein jumlon ki saakht
aur alfaz ke aapas mein talluq par behas ki jati hai.
Yeh nahv hi hai jis ki madad se hum durust aur maani-khez jumlay bana sakte hain.
0 Comments
Post a Comment