Sabqay Aur Lahqay Kya Hain

Sabqay Aur Lahqay Kya Hain?

Urdu grammar mein Sabqay aur Lahqay woh alfaz ya hurf hote hain jin ko kisi lafaz ke shuru ya aakhir mein laga kar us ke maani mein tabdeeli paida ki jati hai.

In ko English zuban mein “Prefixes” aur “Suffixes” kaha jata hai. Yeh Urdu grammar ka ahm hissa hote hain.

Sabqay (سابقے)

Sabqay woh alfaz hote hain jin ko kisi lafaz ke shuru mein lagaya jata hai. Yeh lafaz ke maani ko tabdeel kar dete hain. In ko English mein “Prefixes” kaha jata hai.

Sabiqa Ki Tareef

Wo lafaz jis ko kisi doosre lafaz ke shuru mein lagaya jata hai us ko sabiqa kaha jata hai. Is ko English zuban mein “Prefix” kaha jata hai.

Misaal:

  • Be-Imaan (بےایمان )
  • Be-Rozgar (بےروزگار )

In alfaz mein “Be” sabiqa hai.

Urdu Zuban Mein Istemal Hone Wale Sabqay

Urdu zuban mein istemal hone wale kuch aam aur ahm sabqay yeh hain:

  • La (لا)
  • Ba (با)
  • Be (بے)
  • Kam (کم)
  • Khush (خوش)
  • Na (نا)
  • Bad (بد)
  • Sar (سر)
  • Ham (ہم)

Aise Alfaz Jo Sabiqa Lagane Ke Baad Bante Hain

Yeh wo tamam alfaz hain jin ke shuru mein sabiqa laga hua hai.

  • Be-Imaan (بےایمان )
  • Be-Rozgar (بےروزگار )
  • Be-Wajah (بےوجہ)
  • Kam-Aqal (کم عقل)
  • Kam-Zor (کمزور)
  • Kam-Qeemat (کم قیمت)
  • Khush-Kismat (خوش قسمت)
  • Khush-Khabri (خوش خبری)
  • Khush-Haal (خوش حال)
  • Na-Pasand (ناپسند)
  • Na-Samajh (ناسمجھ)
  • Na-Mumkin (ناممکن)
  • Bad-Naam (بدنام)
  • Bad-Qismat (بدقسمت)
  • Bad-Akhlaq (بداخلاق)
  • Sar-Daar (سردار)
  • Sar-Kaar (سرکار)
  • Sar-Zamin (سرزمین)
  • Ham-Safar (ہم سفر)
  • Ham-Dard (ہمدرد)
  • Ham-Joli (ہم جولی)

Lahqay (لاحقے)

Lahqay woh hurf ya alfaz hote hain jo kisi lafaz ke aakhir mein lagaye jatay hain. Lahqay us lafaz ke maani mein izafa karte hain ya tabdeeli karte hain. In ko English mein “Suffixes” kaha jata hai.

Lahiqa Ki Tareef

Wo lafaz jis ko kisi doosre lafaz ke aakhir mein lagaya jata hai us ko lahiqa kaha jata hai. Lahiqa ko English mein “Suffix” kaha jata hai.

Misaal:

  • Iman-Daar (ایماندار)
  • Dukaan-Daar (دکاندار)

In alfaz mein “Daar” lahiqa hai.

Urdu Mein Istemal Hone Wale Lahqay

Urdu zuban mein istemal hone wale kuch aam aur mashhoor lahqay yeh hain:

  • Daar (دار)
  • Gar (گر)
  • i (ی)
  • Wala (والا)
  • Ana (انہ)
  • Ish (ش)
  • Een (ین)

Aise Alfaz Jo Lahiqa Lagane Ke Baad Bante Hain

Yeh wo tamam alfaz hain jin ke aakhir mein lahiqa laga hua hai.

  • Iman-Daar (ایماندار)
  • Dukaan-Daar (دکاندار)
  • Zimmah-Daar (ذمہ دار)
  • Kaari-Gar (کاریگر)
  • Jadu-Gar (جادوگر)
  • Bazi-Gar (بازیگر)
  • Delhi-i (دہلی)
  • Lark-i (لڑکی)
  • Roshn-i (روشنی)
  • Ghar-Wala (گھروالا)
  • Doodh-Wala (دودھ والا)
  • Dil-Wala (دل والا)
  • Mard-Ana (مردانہ)
  • Roz-Ana (روزانہ)
  • Dost-Ana (دوستانہ)
  • Kosh-ish (کوشش)
  • Saz-ish (سازش)
  • Farmay-ish (فرمائش)
  • Salat-een (سلاطین)
  • Masak-een (مساکین)

Ism e Sift, Ism e Mosoof, Ism e Sift Ki Iqsam | اسم صفت اور اقسام