Mutazad Alfaz Ki Tareef Aur Fehrist
Aise alfaz jin ke maani ek doosre ke mukhalif ya ulat hon un
ko Mutazad Alfaz kaha jata hai.
Misaal:
- “Din” (دن) ka mutazad hai “Raat”
(رات).
- “Khushi” (خوشی) ka mutazad hai “Gham”
(غم).
Urdu mein aam istemal hone wale kuch alfaz aur un ke mutazad
alfaz neeche diye ja rahe hain.
Mutazad Alfaz Ki Fehrist (متضاد الفاظ کی فہرست)
Alfaz (الفاظ) Mutazad (متضاد)
Azad (آزاد) Ghulam (غلام)
Azadi (آزادی) Ghulami (غلامی)
Aasan (آسان) Mushkil (مُشکل)
Aaghaz (آغاز) Anjaam (انجام)
Apna (اپنا) Ghair (غیر)
Aamdani (آمدنی) Kharch (خرچ)
Asal (اصل) Naqal (نقل)
Andhera (اندھیرا) Ujala (اُجالا)
Amanat (امانت) Khayanat (خیانت)
Insaaniyat (انسانیت) Hewaniyat (حیوانیت)
Awwal (اول) Aakhir (آخر)
Achha (اچھا) Bura (بُرا)
Aag (آگ) Pani (پانی)
Bahadur (بہادُر) Buzdil (بزدل)
0 Comments
Post a Comment