Youm-e-Azadi par mazmoon likhna bilkul hi aasan hai. Youm-e-Azadi
14 August ko manaya jata hai. Yeh din humein yaad dilata hai keh Pakistan bohot
qurbaniyon ke baad mila tha.
Is page par aap 150 se 200 alfaz (words) ka ek aasan mazmoon
Youm-e-Azadi ke unwan par parhein gay.
Youm-e-Azadi (یوم آزادی)
Azadi ek bohat bari nemat ka naam hai. Youm-e-Azadi us din ko
kaha jata hai jis din kisi mulk ya qaum ko ghulami se nijaat (نجات) milti hai. Doosre alfaz mein, jis din koi mulk azad
hota hai wo din us mulk ka Youm-e-Azadi hota hai.
14 August 1947 ko Pakistan aazad hua tha. Yeh din Pakistani qoum
ke liye bohat ahmiyat rakhta hai. Is din is qoum ko ghulami se nijaat mili thi.
Is din humein apna ek aazad mulk mila tha. Wo mulk jis mein hum aaj azadi ke
sath saans le rahe hain.
Youm-e-Azadi har saal 14 August ko bare shauq aur jazbay ke
sath poray mulk mein manaya jata hai. Subah subah topon ki salami hoti hai.
Schoolon aur colleges mein programs hote hain. Bachay qaumi naghme (national
songs) gaate hain aur speeches karte hain. Jaga jaga Pakistan ke jhanday lagaye
jate hain.
Yeh din humein un qurbanion ki yaad dilata hai jo hamare
buzurgon ne Pakistan ko haasil karne ke liye di then. Is watan ko haasil karne
ke liye hazaron logon ne apni jaanon ko qurban kiya tha. Agar aaj hum aazad
hain to yeh sab un hi ki mehnat aur qurbaniyon ka natija hai.
Humein chahiye ke hum Youm-e-Azadi par sirf jashan hi na manayen, balkeh yeh ahad bhi karein ke hum ne Pakistan ko ek mazboot aur taraqqi yafta (ترقی یافتہ) mulk banana hai.
0 Comments