Zarb-Ul-Masal Kise Kaha Jata Hai

Zarb-Ul-Masal Kise Kaha Jata Hai?

Zarb ke maani hote hain “Bayan Karna” aur Masal ke maani hote hain “Misaal”. Urdu grammar mein Zarb-ul-Masal (ضرب المثل) ke maani hain “Misaal de kar bayan karna”.

Zarb-ul-Masal Ki Tareef

Ek aisa jumla jo misaal ke tor par paish kiya jaye us ko zarb-ul-masal kaha jata hai. Is ko Urdu mein “Maqola” ya “Kahawat” bhi kaha jata hai.

Zarb-ul-masal mein jo baat kahi jaye us ko alamgir-sachai (universal truth) ka darja diya jata hai.

Urdu Ki Chand Ahm Zarb-ul-Misaal

Yahan Urdu ki chand ahm zarb-ul-misaal faraham ki ja rahi hain. Aap ki aasani ke liye har zarb-ul-masal ke sath us ke matlab ko bhi bataya gaya hai.

1. Aap Kaaj Maha Kaaj (آپ کاج، مہاکاج)

Matlab:

  • Wo kaam jo khud kiya jaye wo sab se behtar hota hai.

2. Aa Bail Mujhe Maar (آبیل مجھے مار)

Matlab:

  • Is zarb-ul-masal ka matlab hai fazol ki larai mol lena.

3. Jis Ki Laathi Usi Ki Bhains (جس کی لاٹھی اُسی کی بھینس)

Matlab:

  • Is ka matlab hai keh taqatwar ki jeet hoti hai.

4. Baat Khatai Mein Parna (بات کھٹائی میں پڑنا)

Matlab:

  • Is ka matlab hai kisi baat ya cheez ka iltiwa mein par jana.

5. Aik Anaar So Bemar (ایک انار سو بیمار)

Matlab:

  • Is zarb-ul-masal ka matlab hai kisi ek cheez ke bohat se khawahish-mand hona.

5. Bakre Ki Maa Kab Tak Khair Manaye Gi (بکرے کی ماں کب تک خیر منائے گی)

Matlab:

  • Bad karne wale ko us ki badi ki saza ek na ek din zaroor mil jati hai.

6. Bad Achha Aur Badnaam Bura (بد اچھا اور بدنام بُرا)

Matlab:

  • Is ka matlab hai keh badnam se badkaar behtar hai.

7. Oonchi Dukan Pheeka Pakwan (اُونچی دُکان پھیکا پکوان)

Matlab:

  • Is ka matlab hai keh shohrat ka bohat zyada hona lekin asliyat mein kuch bhi na hona.

8. Naiki Kar Aur Dariya Mein Daal (نیکی کر اور دریا میں ڈال)

Matlab:

  • Is zarb-ul-masal ka matlab hai keh naiki kar ke bhula deni chahiye.

9. No Naqad Na Tera Udhaar (نو نقد نہ تیرہ اُدھار)

Matlab:

  • Is ka matlab hai keh naqad ke no rupay udhaar ke tera se behtar hote hain.

10. Na Rahe Baans Na Baje Bansuri (نہ رہے بانس، نہ بجے بانسری)

Matlab:

  • Agar jaghray wali cheez hi na rahe to phir jaghra bhi nahin rehta.

Rozmarra Aur Muhawra | Matlab Aur Farq | روزمرہ اور محاورہ