Maholiyati Aloodgi
ماحولیاتی آلودگی
Maholiyati aloodgi se murad hamare mahol mein aisay
ghair-fitri ajzaa (unnatural elements) ka shamil hona hai jo insani sehat,
janwaron aur nabataat (plants) ke liye nuqsan-deh hon.
Aaj ki duniya mein, maholiyati aloodgi ek bohat bara masla
ban chuki hai. Yeh na sirf hamari sehat par bura asar daal rahi hai balkay yeh hamare
sayyare (planet) ke mustaqbil ke liye bhi kai khatraat paida kar rahi hai.
Maholiyati Aloodgi Ki Iqsaam Aur Wajohaat
Maholiyati aloodgi ki kayi iqsaam hain aur har qism ki apni
alag alag wajohaat hain:
Hawai Aloodgi
Yeh aloodgi ki sab se aam qism hai. Karkhanon se nikalne wala
dhuan, gariyon aur buson se nikalne wali zehreeli gasain aur jangal kaatne se paida
hone wali gard-o-ghubar hawai aloodgi ki bari wajohaat hain. Aloodgi ki is qism
se saans ki beemariyan, dil ke masail aur cancer jaise khatarnaak amraaz
(diseases) phailte hain.
Pani Ki Aloodgi
Pani ki aloodgi us waqt hoti hai jab karkhanon (factories) ka
chemical wala pani, gharon ka gandha pani aur ziraat (agriculture) mein istemal
hone wali keemiyai khaadein (chemical fertilizers) aur kashat-kari ki adwiyaat
(pesticides) daryaon, jheelon aur samundaron ke pani mein shamil ho jati hain.
Alooda pani peene se haiza, pechish aur jild ki beemariyan aam ho jati hain.
Zameeni Aloodgi
Aloodgi ki is qism ka sabab plastic, kachra aur sanati fuzlaat
(industrial waste) waghera ka zameen par phenkna hai. Is se zameen ki zar-khezi
kam ho jati hai aur zameen mein mojood mufeed jaraseem (beneficial
microorganisms) mar jate hain.
Awaaz Ki Aloodgi
Shehron mein gariyon ka shor, karkhanon ki awazain aur loud
music awaaz ki aloodgi ka sabab bante hain. Is se zehni dabao, neend ki kami
aur sunne ki salahiyat (hearing ability) par bura asar parta hai.
Maholiyati Aloodgi Ke Asraat (Effects)
Maholiyati aloodgi ke asraat bohat gehre aur tabah-kun hain.
Insani sehat ke ilawa, yeh hamare mahol aur nizaam-e-hayat (ecosystem) ko bhi
mutasir karti hai. Global warming, mosami tabdeeliyan (climate change) aur
ozone layer ka khatam hona maholiyati aloodgi ke baray asraat hain. Janwaron
aur nabataat ki kayi iqsaam (species) is aloodgi ki wajah se khatam ho rahi
hain. Saaf pani ki kami aur zameen ki zar-khezi mein kami se hamari ghizai zarooriat
mutasir ho rahi hain.
Maholiyati Aloodgi Par Qabu Pane Ke Tareeqe
Maholiyati aloodgi se nipatne ke liye ijtimai (collective)
aur infiradi (individual) dono satah par koshishen zaroori hain.
Shajarkari
Zyada se zyada darakht lagana hawai aloodgi ko kam karne ka
sab se behtareen aur aasan tarika hai. Darakht carbon dioxide ko jazb karte
hain aur oxygen ko kharij karte hain.
Aagahi (آگاہی)
Logon ko maholiyati aloodgi ke nuqsanat aur is se bachne ke
tareeqon ke bare mein aagah karna bohat zaroori hai. Logon ko pata hi nahin hai
keh maholiyati aloodgi kya hai.
Sanati Qawaneen
Hukoomaton ko karkhanon ke liye sakht qawaneen banane chahiye
taakeh woh apne fuzlaat (waste) ko mahol mein phenkne se pehle saaf karain.
Kachre Ko Thikane Lagana
Kachre ko sahi tareeqe se thikane lagana, recycle karna aur
reuse karna zameeni aloodgi ko kam kar sakta hai.
Public Transport Ka Istemal
Zati gariyon ki bajaye public transport ka istemal hawai
aloodgi ko kam karne mein madad deta hai.
Plastic Ka Istemal Kam Karna
Plastic bags aur plastic ki cheezon ka istemal kam karna
chahiye kyun keh yeh zameen aur pani mein saalon tak rehti hain.
Agar hum ne abhi se is masle par tawajjo na di to hamari aanay wali naslon ke liye hum ek ghair-sehatmand aur khatarnak mahol chhor kar jayen ge. Is masle ko hal karne ke liye har kisi ko apni zimmedari samajhte hue mahol ko saaf aur mehfooz rakhne mein apna kirdar ada karna chahiye.
0 Comments
Post a Comment