Advertisement

Lafaz “Ghareeb” Ki Jama Kya Hai? | “Ghareeb” Ka Jumlon Mein Istemal

 

Lafaz Ghareeb Ki Jama in Urdu

Urdu zuban mein har lafaz ka apna ek khaas maani aur istemal hota hai. Lafaz “Ghareeb” Urdu zuban ka ek aam istemal hone wala lafaz hai. Rozmarrah ki baat-cheet se le kar school ya college tak, yeh lafaz har jagah istemal kiya jata hai.

Is article mein aap parhein gay:

  • Lafaz Ghareeb ka wahid aur jama
  • Ghareeb aur Ghurba ka matlab
  • Lafaz Ghareeb ki English
  • Lafaz Ghareeb ko likhne ka tarika
  • Lafaz Ghareeb ka jumlon mein istemal

Lafaz “Ghareeb” Ka Wahid (Singular):

غریب

Ghareeb

Lafaz “Ghareeb” Ki Jama (Plural):

غُرباء

Ghurba

Lafaz “Ghareeb” Ka Matlab Kya Hai?

Ghareeb ka matlab hota hai ek aisa shakhs jo maal-o-daulat mein kamzor ho. Yaani ek aisa shakhs jis ko apni zarooriyat poori karne mein mushkilaat ka saamna ho.

Lafaz “Ghurba” Ka Matlab Kya Hai?

Ghurba lafaz “Ghareeb” ki jama hai. Is ka matlab hota hai ghareeb logon ka majmua ya group. Is lafaz ka istemal aksar un logon ke liye hota hai jo kam aamdani, kam wasail ya mushkilaat ka saamna kar rahe hote hain.

Ghareeb Ko English Mein Kya Kehte Hain?

Ghareeb ke liye English mein lafaz “Poor” istemal kiya jata hai.

Lafaz Ghareeb Ko Urdu Mein Kis Tarah Se Likha Jata Hai?

Lafaz “Ghareeb” ko Urdu mein is tarah se likha jata hai.

غریب

Lafaz “Ghurba” Ko Urdu Mein Kis Tarah Se Likha Jata Hai?

Lafaz “Ghurba” ko Urdu mein is tarah se likha jata hai.

غُرباء

Lafaz “Ghareeb” Ka Jumlon Mein Istemal

Yahan 5 aise jumlay diye ja rahe hain jin mein lafaz “Ghareeb” ko istemal kiya gaya hai.

Jameel bohat ghareeb hai.

جمیل بہت غریب ہے۔

Wo Ghareeb shakhs roz mazdoori kar ke apna ghar chalata hai.

وہ غریب شخص روز مزدوری کرکے اپنا گھر چلاتا ہے۔

Hum sab ko Ghareeb logon ki madad karni chahiye.

ہم سب کو غریب لوگوں کی مدد کرنی چاہیے۔

Us Ghareeb bache ke paas school ki fees dene ke liye paise nahin thay.

اس غریب بچے کے پاس سکول کی فیس دینے کے لیے پیسے نہیں تھے۔

Ghareeb hona koi sharam ki baat nahin, mehnat na karna sharam ki baat hai.

غریب ہونا کوئی شرم کی بات نہیں، محنت نہ کرنا شرم کی بات ہے۔

Lafaz “Aafat” Ki Jama | Aafat Ka Jumla | آفت کی جمع اور جُملے


Post a Comment

0 Comments