Ism e Mafool Ki Qismein
Aap jaante hain keh Ism e Mafool, Ism e Mushtaq ki ek qism hai. Ism e mafool ke mutaliq, tareef ke sath, aap
pehle parh chukke hain. Is page par aap ism e mafool ki tamam iqsam (types) ke mutaliq tafseel
ke sath parhne ja rahe hain.
Ism e Mafool Ki Tamam Iqsam
Ism e mafool ki do iqsam
hain.
- 1. Ism e Mafool Qiyasi (اسم مفعول قیاسی)
- 2. Ism e Mafool Samai (اسم مفعول سماعی)
Ism e Mafool Qiyasi (اسم مفعول قیاسی)
Ek aisa ism e mushtaq jo
qaiday ke mutabiq masdar se banaya jaye us ko ism e mafool qiyasi kaha jata
hai.
Ism e Mafool Qiyasi Banane Ka Tareeqa
Jis masdar se aap ne ism e
mafool banana ho us ke mazi mutlaq ke aakhir mein “Hua” (ہُوا) laga dene se ism
e mafool ban jata hai.
Misaal:
- Likhna se likha hua (لکھنا سے لکھا ہُوا)
- Likhna se likhi hui (لکھنا سے لکھی ہُوئی)
Ism e Mafool Samai (اسم مفعول سماعی)
Wo ism jo kisi bhi qaiday se
nahin banaya jata lekin maani ism e mafool ke deta hai us ko ism e mafool samai
kaha jata hai. Jesa keh:
- Dukhi (دُکھی)
- Azmodha (آزمودہ)
0 Comments
Post a Comment