Pakistan aur doosre Urdu bolne wale mumalik mein “Qabar” ek aam
istemal kiya jane wala lafaz hai. Is page par aap lafaz “Qabar” ke bare mein mukammal
aur dilchasp maloomat parhein gay.
Aap parhein gay:
- Qabar Ka Wahid Aur Jama
- Lafaz “Qabar” Ka Matlab
- Lafaz “Qabar” Ki English
- Lafaz “Quboor” Ki English
- Qabar Ko Urdu Mein Likhne Ka Tarika
- Quboor Ko Urdu Mein Likhne Ka Tarika
- Qabar Ka Jumlon Mein Istemal
Qabar Ka Wahid Kya Hai?
قبر
Qabar
Qabar Ki Jama Kya Hai?
قُبور
Qabar Ka Matlab Kya Hota Hai?
Qabar us jagah ko kehte hain
jahan murday ko dafan kiya jata hai.
Qabar Ko English Mein Kya Kehte Hain?
Qabar ko English mein
“Grave” kaha jata hai. Qabar ke liye English mein yeh do alfaz bhi istemal hote
hain.
- Tomb
- Burial Place
Quboor Ko English Mein Kya Kehte Hain?
Quboor lafaz “Qabar” ki jama
hai. Is ko English mein “Graves” kaha jata hai.
Qabar Ko Urdu Mein Kaise Likhte Hain?
Qabar ko Urdu mein is tarah
se likha jata hai.
ق ، ب ، ر = قبر
Quboor Ko Urdu Mein Kaise Likhte Hain?
Quboor ko Urdu mein is tarah
se likha jata hai.
ق ، ب ، و ، ر = قبور
Lafaz Qabar Ka Jumlon Mein Istemal
1. Wo apne walid ki Qabar
par gaya tha.
وہ اپنے والد کی قبر پر گیا تھا۔
2. Har insan ne ek din Qabar
mein jana hai.
ہر انسان نے ایک دن قبر میں جانا
ہے۔
3. Us ne Qabar ki safai khud
ki.
اُس نے قبر کی صفائی خود کی۔
4. Raat ko qabristan mein Qabar
dikhai dena mushkil hota hai.
رات کو قبرستان میں قبر دکھائی
دینا مشکل ہوتا ہے۔
5. Us ke dada ki Qabar ke
paas ek darakht hai.
اُس کے دادا کی قبر کے پاس ایک
درخت ہے۔
Is mazmoon mein fraham ki gayi wali maloomat se na sirf Urdu seekhne walon ko faida ho ga balkeh ek aam qari bhi apni Urdu zuban aur lafzon ke sahi istemal ko behtar bana sake ga.
Umeed hai ke yeh mazmoon aap ke liye mufeed saabit ho ga aur aap ko lafaz “Qabar” se mutaliq tamam bunyadi sawalon ke jawab mil gaye hon ge.
Shakal Ki Jama Kya Hai? | Lafaz “Shakal” Ke Urdu Mein Jumlay

0 Comments