Advertisement

Doctor Aur Mareez Ke Darmiyan Mukalma (Dialogue) | ڈاکٹر اور مریض کے درمیان مُکالمہ

 

Doctor Aur Mareez Ke Darmiyan Mukalma

Yeh doctor aur mareez ke darmiyan ek aasan mukalma hai. Students is ko apne imtehaan (examination) ki tayari ke liye study kar sakte hain. Yeh mukalma aap ki aasani ke liye bilkul aasan alfaz mein roman Urdu mein likha hua hai.

Doctor Aur Mareez Ke Darmiyan Mukalma

ڈاکٹر اور مریض کے درمیان مُکالمہ

Mareez: Assalam-o-Alaikum Doctor Sahib. (Mareez clinic mein dakhil hota hai)

Doctor: Wa Alaikum Assalam.

Doctor: Baith jayen. (Doctor kursi ki taraf ishara karte hue kehta hai)

Doctor: Ji, aap ko kya masla hai?

Mareez: Doctor sahib, mujhe do din se bukhaar aur sardard hai.

Doctor: Kya aap ko khansi ya gale mein dard bhi hai?

Mareez: Ji haan, halka sa gala bhi kharab hai aur khansi bhi ho rahi hai.

Doctor: Theek hai, main aap ka check-up karta hon. (Doctor stethoscope se check karta hai)

Doctor: Aisa lag raha hai keh aap ke gale mein thora sa infection hai.

Doctor: Kya aap ne pehle koi dawa li hai?

Mareez: Nahin Doctor sahib, main ne abhi tak koi dawa nahin li.

Doctor: Theek hai, main aap ko bukhaar aur khansi ki dawa likh kar de raha hon. Dawa ko din mein teen martaba lena hai aur pani zyada piya karein.

Mareez: Ji doctor sahib.

Mareez: Kya mujhe aaram bhi karna ho ga?

Doctor: Ji haan, aap ko 2 se 3 din aaram karna chahiye.

Doctor: Is ke ilawa thanda khanay peenay se parhez karna hai.

Mareez: Shukriya doctor sahib.

Doctor: Khush rahiye, InshaAllah aap bohat jald theek ho jayen gay. (Mareez bahir ko chala jata hai)

Do Doston Ke Darmiyan Mukalma (Dialogue) | دو دوستوں کے درمیان مُکالمہ

Post a Comment

0 Comments