Mera Watan
میرا وطن
Watan sirf ek zameen ka tukra nahin hota. Yeh hamari
pehchaan, hamari rooh aur hamari tareekh ka aaina hota hai. Yeh woh jagah hoti hai
jahan hum paida hotay hain, jahan hamari bachpan ki yaadein basti hain aur
jahan hamari nasalein perwan charhti hain.
Mere liye mera watan, Pakistan, sirf ek mulk nahin hai. Yeh
mera ghar hai. Yeh meri jannat hai. Yeh meri mohabbat ka markaz hai.
Mere watan ki khoobsurti (beauty) ko lafzon mein bayan karna bohat
mushkil hai. Is mein paharon ki azmat hai. Is mein daryaon ka shor hai. Is mein
khaiton ki haryali hai aur is mein sehraon ka sannata hai.
Karachi ke samundari kinaron se le kar Himalaya ke barf-posh
paharon tak, Pakistan qudrati husn se maala-maal hai. Yahan mukhtalif zubanein
boli jati hain. Mere watan mein mukhtalif rangon ke log ek sath rehtay hain.
Mere watan ki bunyadein un qurbaniyon (sacrifices) par rakhi
gai hain jo hamare buzurgon ne di then. Yeh mulk lakhon shaheedon ke khoon se
seencha (سینچا) gaya hai.
Azadi ki yeh nemat hamein yun hi nahin mili, is ke liye bohat si mushkilaat aur
azmaishon ka samna karna para.
Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah aur Allama Muhammad Iqbal
jaisi azeem shakhsiyaat ki rehnumai aur qaum ki musalsal koshishon ka nateeja
hai keh aaj hum ek azad aur khud-mukhtar mulk mein saans le rahay hain. Yeh
tareekh hamein yaad dilati hai keh hamein apne watan ki hifazat aur taraqqi ke
liye hamesha tayar rehna chahiye.
Mujhe apne watan se bepanah mohabbat hai. Is ki mitti, is ki
hawa aur is ki har cheez se mera gehra rishta hai. Apne watan ki khidmat karna
mera farz hai. Hamein chahiye ke hum taleem hasil karain, mehnat karein aur
apne mulk ko har shobay mein taraqqi ki bulandiyon tak le jaen. Apne watan se
wafa karna aur usay har burai se bachana hum sab ki zimmedari hai.
Mera watan meri shaan hai aur meri pehchaan hai. Main dua karta hoon ke mera watan hamesha aman, khushhali aur taraqqi ki raah par gamzan rahay. Allah Ta'ala mere watan ko har buri nazar se bachaye aur isay ta-qayamat salamat rakhay. Pakistan Zindabad!
0 Comments
Post a Comment