Advertisement

Do Doston Ke Darmiyan Mukalma (Dialogue) | دو دوستوں کے درمیان مُکالمہ

 

Do Doston Ke Darmiyan Mukalma in Urdu

School life aur dosti aisi yaadein hoti hain jo insan ko zindagi bhar yaad rehti hain. "Do Doston Ke Darmiyan Mukalma" ek simple aur dilchasp baat-cheet hai jo roman Urdu mein likha gaya hai. Is mukalme mein do dost apni dosti, taleem aur cricket ke shauq ke bare mein baat kar rahe hain.

Do Doston Ke Darmiyan Ek Mukalma

دو دوستوں کے درمیان مُکالمہ

Ali: Assalam-o-Alaikum Ahmed, kaise ho?

Ahmed: Wa-Alaikum-Assalam Ali, main theek hon. Tum sunao?

Ali: Main bhi bilkul theek hon. Kal tum school kyun nahin aaye?

Ahmed: Yaar kal mera chhota bhai bohat beemar tha, is liye main us ke sath doctor ke paas gaya hua tha.

Ali: Ab tumhare bhai ki sehat kesi hai?

Ahmed: Ab wo kafi behtar hai.

Ali: Allah usay sehat de.

Ahmed: Ameen.

Ali: Kal teacher ne math ka ek important topic samjhaya tha.

Ahmed: Aray waah! Kya tum mujhe wo topic samjha sakte ho?

Ali: Haan kyun nahin. Hum lunch break mein sath baith kar dobara dekh lete hain.

Ahmed: Bohat shukriya Ali, tum hamesha meri madad karte ho.

Ali: Aray yaar, dosti isi ka to naam hai. Waise suna hai kal hamare school mein cricket ka match bhi hai?

Ahmed: Ji haan, main bhi team mein shamil hon. Tumhara naam kis team mein shamil hai?

Ali: Main bhi school ki team mein hoon. Shayad hum dono ek hi team mein khailen gay.

Ahmed: Phir to bohat maza aaye ga! Mujhe cricket ka shauq bachpan se hai.

Ali: Mujhe bhi. Main to fast bowler banna chahta hon. Tum kis cheez mein expert ho?

Ahmed: Main batsman hon. Mera kaam runs banana hai.

Ali: Wah, phir to hamari team bohat mazboot (strong) ho gi.

Ahmed: InshaAllah. Par test ki tayari bhi zaroori hai, warna teachers naraz ho jayen gay.

Ali: Bilkul, pehle parhai aur phir khail.

Ahmed: Sahi kaha tum ne. Dosti aur taleem dono sath sath chalni chahiye.

Ali: Chalo, kal se mil kar dono tayari karte hain aur cricket practice bhi sath karen gay.

Ahmed: Wah, yeh bohat acha plan hai. Tum waqai ek ache dost ho.

Ali: Aur tum bhi. Dosti mein asli khushi ek dosray ka sath dene mein hai.

Ahmed: Bilkul sahi kaha tum ne.

Doctor Aur Mareez Ke Darmiyan Mukalma (Dialogue) | ڈاکٹر اور مریض کے درمیان مُکالمہ

Post a Comment

0 Comments