Urdu zuban mein lafaz
“Aafat” ek mashhoor aur aam istemal hone wala lafaz hai. Is ka matlab hota hai “Museebat”,
“Balaa” ya “Koi buri haalat”. Aksar log poochte hain keh “Lafaz Aafat ka wahid
aur jama kya hai?” To aaiye, lafaz “Aafat” ke wahid aur jama ke bare mein jante
hain.
Lafaz “Aafat” Ka Wahid (Singular)
آفت
Aafat
Yeh lafaz ek museebat ya ek takleef ke liye istemal hota hai.
Lafaz “Aafat” Ki Jama (Plural)
آفات
Aafaat
Yeh lafaz tab istemal hota
hai jab kai museebatein ya takleefen hon.
“Aafat” Aur “Aafaat” Ko Urdu Mein Kaise Likhte Hain?
Lafaz “Aafat” ko Urdu mein
is tarah se likha jata hai.
آفت
Lafaz “Aafaat” ko Urdu mein
is tarah se likha jata hai.
آفات
“Aafat” Ko English Mein Kya Kehte Hain?
“Aafat” ko English mein “Calamity”
kaha jata hai. Is ke liye “Disaster” aur “Trouble” ka lafaz bhi istemal kiya
jata hai.
“Aafaat” Ko English Mein Kya Kehte Hain?
“Aafaat” ko English mein “Calamities”
kaha jata hai. Is ke ilawa “Disasters” ka lafaz bhi istemal kiya jata hai.
Lafaz “Aafat” Ke Mutaliq Mukhtasir Maloomat
- Lafz: Aafat
- Jama: Aafaat
- Maani: Museebat, Balaa, Takleef
- English: Calamity / Disaster
Lafaz “Aafat” Ka Jumlon Mein Istemal
1. Garamiyon mein bijli ka jana
kisi Aafat se kam nahin hai.
گرمیوں میں بجلی کا جانا کسی آفت
سے کم نہیں ہے۔
2. Ali ka jhoot bolna hum
sab ke liye Aafat ban gaya hai.
علی کا جھوٹ بولنا ہم سب کے لیے
آفت بن گیا ہے۔
3. Duniya bhar mein jab
dekho koi na koi Aafat toot parti hai.
دنیا بھر میں جب دیکھو کوئی نہ
کوئی آفت ٹوٹ پڑتی ہے۔
4. Is saal barsat ek Aafat
ban kar aai thi.
اس سال برسات ایک آفت بن کر آئی
تھی۔
5. Mehngai ghareeb ke liye
kisi Aafat se kam nahin hai.
مہنگائی غریب کے لیے کسی آفت سے کم نہیں ہے۔
Lafaz “Waqt” Ki Jama (Plural) Kya Hai? | Lafaz “Waqt” Ka Jumla

0 Comments