Urdu Grammar Mein Kalma Aur Kalma Ki Iqsam
Kalma (کلمہ)
Kalma kise kaha jata hai? Yeh aap pehle parh chukke hain. Aaj
ham kalama ki iqsam ke bare mein baat karein gay. Is safhay par aap kalma ki
iqsam ke mutaliq tafseel ke sath parhne ja rahe hain.
Kalma Ki Iqsam Konsi Hain?
Kalma ki teen iqsam hoti hain.
- Ism (اسم)
- Fail (فعل)
- Harf (حرف)
1. Ism (اسم)
Urdu grammar mein, kisi shakhs, jagah ya cheez ke naam ko ism
kaha jata hai.
Misaal:
- Lahore (لاہور)
- Akram (اکرم)
- Pankha (پنکھا)
2. Fail (فعل)
Ek aisa kalma jo apne maani
ke aitbaar se mustqil ho usay fail kaha jata hai. Fail kisi kaam ke karne, na
karne, hone ya na hone ke bare mein batata hai. Is mein teen zamanon yaani
haal, maazi aur mustaqbil mein se koi ek zamana paya jata hai.
Misaal:
- Aaya (آیا)
- Jata tha (جاتا تھا)
- Likhe ga (لکھے گا)
3. Harf (حرف)
Ek aisa kalma jo akela to
koi maani na de lekin doosre kalmaat ke sath mil kar maani de aur un mein taluq
bhi paida kare. Yeh apne maani ko zaahir karne ke liye doosre kalmaat ka
mohtaaj hota hai.
Misaal:
Akram ghar se school tak
gaya.
اکرم گھر سے سکول تک گیا۔
Is misaal mein “Se” (سے) aur “Tak” (تک) dono harf hain.
0 Comments
Post a Comment