Urdu Grammar Mein Ism e Zameer Ki Iqsam

Urdu Grammar Mein Ism e Zameer Ki Iqsam

Jesa keh aap parh chuke hain aur jaante hain keh Ism eZameer, Ism e Marfa ki ek qism hai. Is page par aap Ism e Zameer ki iqsam ke mutaliq tafseel ke sath parhein gay.

Ism e Zameer Ki Iqsam

Ism e zameer ki yeh iqsam hain.

  • 1. Zameer Faili (ضمیر فاعلی)
  • 2. Zameer Mafoli (ضمیر مفعولی)
  • 3. Zameer Izafi (ضمیر اضافی)

Zameer Faeli (ضمیر فاعلی)

Wo zameer jo pehle kisi fail ka fael rahi ho us ko zameer faeli kaha jata hai. Jesa Keh:

  • Wo (وہ)
  • To (تو)
  • Tum (تم)

Zameer Mafoli (ضمیر مفعولی)

Wo zameer jo mafool ki jagah istemal hoti hai us ko zameer mafoli kaha jata hai. Jesa keh:

  • Usay (اُسے)
  • Tujhe (تجھے)
  • Mujhe (مجھے)

Zameer Izafi (ضمیر اضافی)

Ek aisa zameer jo kisi ism ke sath mil kar us ka kisi doosre ism ke sath talluq zahir kare us ko zameer izafi kaha jata hai. Jesa keh:

  • Mera (میرا)
  • Meri (میری)
  • Hamara (ہمارا)

Ism e Alam Ki Sab Iqsam | اسم علم کی اقسام