Advertisement

Do Parosiyon Ke Darmiyan Safai Ke Maslay Par Mukalma


Do Parosiyon Ke Darmiyan Safai Par Mukalma


Do Parosiyon Ke Darmiyan Safai Par Mukalma

دو پڑوسیوں کے درمیان صفائی پر مُکالمہ

Ahmed: Asalam-o-Alaikum Saleem bhai! Kya haal hai?

Saleem: Wa Alaikum Asalam Ahmed bhai! Alhamdulillah main theek hon. Aap sunayein?

Ahmed: Allah ka shukar hai main bhi theek hon.

Ahmed: Darasal main aap se ek zaroori baat karna chahta tha.

Saleem: Ji zaroor, kahiye.

Ahmed: Aap ne notice kiya ho ga ke gali mein kuch dino se koora kachra zyada jama ho raha hai. Is se badboo bhi aa rahi hai aur machar bhi barh gaye hain.

Saleem: Ji haan, main ne bhi mehsoos kiya hai. Is ki wajah se bachon ki sehat par bhi bura asar par raha hai.

Ahmed: Bilkul theek keh rahe hain aap. Hamare deen mein bhi safai ko bohat ahmiyat di gayi hai aur mahol ko saaf rakhna hum sab ki zimmedari hai.

Saleem: Main aap se ittefaq karta hoon. Agar hum sab parosi mil kar thori si koshish karein to gali ko saaf rakha ja sakta hai.

Ahmed: Mera bhi yehi khayal hai. Kyun na hum roz apne apne ghar ke samne safai karein aur koora muqarrar jagah par phainkein?

Saleem: Yeh bohat acha mashwara hai. Is ke ilawa hum mohallay ke doosre logon ko bhi samjha sakte hain ke kachra idhar udhar na phainkein.

Ahmed: Ji haan, aur agar mumkin ho to hum union council ya municipal committee ko bhi ittila de sakte hain taake koora baqaidgi se uthaya jaye.

Saleem: Bilkul, is tarah yeh masla mustaqil tor par hal ho sakta hai. Main aaj hi is bare mein baat karon ga.

Ahmed: Bohat shukriya Saleem bhai. Agar hum sab mil kar kaam karein to hamara mohallah saaf suthra ban sakta hai.

Saleem: Aap ka bhi shukriya Ahmed bhai ke aap ne is ahm masle par baat ki. InshaAllah hum sab safai ka khaas khayal rakhein ge.

Ahmed: InshaAllah. Allah humein saaf suthra rehne ki taufeeq de.

Saleem: Ameen. Allah Hafiz!

Ahmed: Allah Hafiz!

Post a Comment

0 Comments